Tuesday, February 2, 2010

Hindi Shayari Collection

Dil Ki Dhadkan Ko Dhadka Gaya Koi
Mere Khawabon Ko Mehka Gaya Koi ,
Hum To Anjanay Raston Pe Chal Rahay The
Achanak Hi Pyar Ka Matlab Sikha Gaya Koi..!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humne Socha Shayad Hum hi chahte hain unko,
Par unhe chahne walon ka to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar KHUDA se,
Par Khuda bhi unka chahnewala nikla…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek tumko hame yaad karneki fursat nahin,
Ek hamko tumhe bhulane ki aadat nahin,
Tumhe bhulake jiye bhi to kaise,
Sanso ke bina jeene ki aadat bhi to nahin.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun to zindagi me ajeeb se mod aynege,
Kabhi khushi to kabhi gam layenge,
Rakhna hamesha khud ka khayaal,
Kyoki aap hasenge to hum bhi muskurayenge
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chandini rato me sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki mohabbat me koi bad naseeb rota hai,
Khuda, kisi ko mohobbat me fida na kare,
Agar kare to qyamat tak juda na kare.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Behte ashkon ki zuban nahi hoti,
Lafzon mein mohabbat bayaan nahi hoti,
Mile jo pyar to kadar karna,
Kismat har kisi par maherban nahi hoti.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil ko dhadakne se pahale,
Dost ko dosti se pahale,
Pyar ko muhabt se pahale,
Khusi ko gam se pahale aur ap ko
5 din pahale HAPPY Pongal 2010
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aapki Muskurahat ne hame behos.
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya,
Hum Hosh me aane hi waale the,
Ki Aapne fir se muskura diya.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Log apno se rista bhi toud dete hai,
Gairo ka daman tham lete hai,
Hum to ek phool bhi na toud paye,
Log to dil bhi kaise toud dete hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar ka deepak jala kar to dekho,
Mohabbat ki duniya sasa kar to dekho;
Tumhe ho na jaye mohbbat humse to kahna,
Ek baar najare mila kar to dekho
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humne bhi pyar kiya tha
Thoda nahin bemeesaal kiya tha,
Meri to duniya hi badal gai,
Jab wo hash kar bole,
Are paagal maine to majak kiya tha;
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo mujhse najare milati rahi,
Meri zindgi se khelti rahi,
Nahi aai wo meri zindgi ki jheel me,
Bas kinaare pe baith kar patthar fenkti rahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum yaad hai to thik hai,
Varna bhula dena,
Hui ho koi khata to saja dena,
Vaise to hum kore kagaz ki tarah hai,
Mann ho to kuchh likhana varna jala dena
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum agar gulab hote to toud leta,
Tum agar sawal hote to jawab deta,
Log jaante hai ki main peeta nahin hoon,
Phir bhi pi leta agar tum sharab hote !
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mat pucho mere dil se tanhai me
Kitne pegam likhata hu,din ko likhta hu,
Raat ko likhta hu, subhah ko likhta hu,
Shaam ko likhta hu, wo kalam bhi pagal ho gai
Jisse tuhara naam likhta hu |
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aakhe kabhi nam na ho,
Zindagi me koi gum na ho,
Daman khushiyo bhar jaye,
Chahe un khushiyo hum shamil na ho.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tamnna se nahi tanhai se darte hai,
Pyar se nahi rusbai se darte hai,
Milne ki to bahut chahat hai,
Par milan ke baad ki judai se darte hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hoth Hai Chalakta Zaam,
Nigahen Hai Jaise Nasha Ki Pyali,
Zulfen Hai Jaise Ghata Nirali,
Ay Hasina,Teri Surat Hai Bholi Bhali,
Sambhaal Ke Rakhna Isey,
Warna Chura na Le Jaye Kahi,
Teri He Gali Ka Mawaali..

No comments: