Mohabbat Ki Judaai
Haqiqat Mohabbat Ki Judaai Hoti Hai
Kabhi Kabhi Pyar Main Bewafai Hoti Hai
Humari Taraf Haath Badhaa Kar Toh Dekh
Dosti Main Kitni Sachhai Hoti Hai.
Mohabbat ki Lahero Pe
Mohabbat ki lahero pe kastiya chalane waale
zara sambhal ke, mohabbat dariya hai sahil nahi,
uthte hai kahi tofaan mohabbat ke samander me bhi,
ager us se lad na sako to tum mohabbat ke kabil nahi.
Mohobbat Nibha Nahi Pata
Kyon koi chah kar mohobbat nibha nahi pata,
Kyon koi chah kar rishta bana nahi pata,
Kyon leti hai zindagi aisi karwat,
Ki koi chah kar bhi pyar jata nahi pata.
Raat bhar Ro Na Sake
Bikhre Armaano Ke Moti Hum Piro Na Sake
Tere Yaad Mein saari Rat Hum So Na Sake,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri
Bass Yehi Soch Kar Hum Raat bhar Ro Na Sake.
Hamse Mat Poocho
Hamse mat poocho ki kyun aankhen jhuka li maine
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
uspe likha tha ki teri mahobbat mere muqaddar me nahi
yahi soch kar apne maathe ki woh lakreer mita li meine.
Na Karna..
Na Karna Mohabbat Aye Doost
Anjamey Mohabbat Bura Hai,
Yeh Dil Mein Chubo Ta Khanjar Hai
Aur Bekhudi Is Ka Natija Hai.
Doorie Ka Ehsaas
Tumse Doori ka Ehsaas Sataane Lagaa
Tere Saath Guzaraa Har Lamha Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Tujhe Bhoolne ki Koshish ki aye Dost,
Tu Dil ke Aur Bhi Kareeb Aane Laga.
Raatein Gumnaam Hoti Hai
Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
Ki har lamha doston ke naam hota hai.
Dosti Rang Laati Hai
Dosti achchi ho toh rang laati hai
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai
Par agar dosti apne jaisi ho
Toh itihaas banaati hai.
Dosti Laajawab Hoti Hai
Pyar karne walon ki kismat kharab hoti hai
Har waqt dukh ki ghadi sath hoti hai
Waqt mile to rishto ki kitaab padh lena
Dosti har rishte se laajawab hoti hai.
Door or Paas
Tu Dur Hai Mujhse Aur Paas Bhi Hai
Teri Kami Ka Ehsaas Bhi Hai
Dost To Hmare Lakho Hain Is Jahan Me
Par Tu Pyara Bhi Hai Aur Khas Bhi Hai.
Naa woh aa sake naa hum kabhi jaa sake,
Naa dard dil ka kisi ko suna sake.
Bus baithe hai yaadon mein unki,
Naa unhone yaad kiya aur naa hum unko bhula sake.
Kuch khabar nahin hum ko apna ya paraya hai,
Dhoondne ye dil jis ko is gali mein aaya hai
Hum duayein dete hain tum ko phir bhi jan-e-jan
Magar tum ne is dil ko be-panah sataya hai
Maar kar mujhe qatil ghumzada sa lagta hai
Is liye to chalte huye thora larkhadaya hai
Kash apne dil ki aag ashk se bujha sakte
Rooth jab gaye ansu usne tab jalaya hai
Bewafa zamane mein kuch wafa shanason ne
Zikr-e-dil zamane se har qadam chhupaya hai
Jal raha tha dil mera phir bhi shukr hai itna
Unko is tamashe mein kuch maza to aaya hai
So rahe the sir rakh ke aaj mere kandhe par
Zeest mein sanam hum ne kuch maza to paya hai.
Kab the hum bejaan jo aaj jeene lage,
Kab the hum hosh me jo aaj behoshi me peene lage.
Kab thi woh hamari jo aaj hamse juda hai,
Kab na tha hum me anurag jo mila nahi hume khuda hai.
Socha tha humne bhul jayenge tum ko,
Phir kabhi yaad na aayenge tum ko
Dil to masoom hai chal pada mohabbat ki raha par
Samajh na paya Tum jaise bewafa ko
Shikwa kya karein tum se hum sangdili ka
Shikast to di hai humari saadgi ne hum ko.
No comments:
Post a Comment